aaj-kal aksar aisa pata hun apne ashaar bhul jata hun kya bahr thi wo kya tarannum tha ashk tha koi ya tabassum tha kaifiyat kya thi aur kya ehsas jin se hota tha khudi ka ehsas jin ko main jawedan samajhta tha apne donon-jahan samajhta tha ab wahi sher bhul jata hon aaj-kal aksar aisa pata hun aisa kyun ho gaya agar sochun koi wajib wajh agar khojun aisa mahsus hone lagta hai sher khud ko wo yaad rahta hai jo kisi aur ko bhi yaad rahe honth pe na ho magar dil mein base aisa mumkin to hai magar bas tab kisi lamhe main khud ko bhul ke jab khud ko dariya-dili se banta ho mera main aur kisi ka hissa ho yun kiya hi nahin to kya fariyaad apni hi qaid mein raha aabaad fikr ki asli baat ye hai magar in dinon yun bhi hua hai aksar sher auron ke bhul jata hun kya main pahle ki tarah zinda hun