barg-e-awara-sada aae hain koi aawaza-e-pa lae hain tere paigham-rasan hain shayad aur paiman-e-wafa lae hain guftugu narm hai lahja dhima ab ke andaz juda lae hain ek nadamat bhi hai pachhtawa bhi khiffar-e-jurm-o-jafa lae hain aankh mein ashk pashemani ke hont par harf-e-dua lae hain sare saman rafugari ke jeb o daman mein utha lae hain marham-e-zakhm ke ambar ke sath para-e-khak-e-shifa lae hain shakh-e-zaitun bhi ammame bhi hain aur abaen bhi sila lae hain hajr-e-aswad ne chhua hai jis ko ek aisi bhi rida lae hain kuchh madine ki khujuron ke tabaq kasa-e-sar pe saja lae hain ek mashkiza-e-ab-e-zamzam pusht-e-nazuk pe utha lae hain agle pichhle sabhi maqtulon ka goya ki khun-baha lae hain