ai mere sinn-o-sal ke hasil mere aangan ke nau-damida gulab mere masum khwab ke ham-shakl meri maryam ke saya-e-shadab subh-e-takhliq ka salam tujhe zindagi tujh ko kahti hai aadab ai muqaddas zamin ke shoala-e-nau tu farozan ho un fazaon mein mere sine ki jo amanat hain jo meri na-rasa duaon mein is tarah muskuraati hai jaise naghmagi dur ki sadaon mein mujh ko ajdad se wirasat mein wo kharabe mile ki jin mein raha umr bhar paemal o khak-basar mera hissa raha gham-e-farda mujh ko mere lahu mein nahla kar jis ne qaid-e-hayat mein rakkha ai meri ruh-e-fan ke aks-e-jamil tujh ko meri si zindagi na mile jo na main ho saka wo to ho jae kash tu mera ja-nashin na bane main tasawwur mein bhi jahan na gaya un dayaron mein tera nam chale