didani hai ye mera ghar mera virana bhi is guzargah pe kuchh der thahar ja sayyah mujh ko malum hai tu sara jahan dekh chuka han ufuq-ta-ba-ufuq sari zamin dekhi hai tu ne aiwan bhi dekhe hain khandar bhi dekhe wadiyan dekhin pahadon ki jabin dekhi hai meri duniya mein zara dekh ki is duniya ko dekhne walon ne ab tak kabhi dekha hi nahin main fasana hun koi chahe to mujh ko likh le par mera haal kisi ne kabhi puchha hi nahin tujh ko ai dost dikhaun ki kahan rahta hun ye wo ghar hai ki jo shayad kabhi ho sakta tha ghar tujh ko shayad na nazar aae magar ye sach hai is ke sine mein hain poshida mere lal-o-gohar ye zamin ujdi hui tuti hui hai diwar par isi kokh mein dharti ki hai sarmaya mera main jo is waqt nazar aata hun ye main nahin hun meri taswir hai dhundla sa hai ye saya mera meri taswir ki aankhon mein basa hai ek shahr is mein hain unche mahal jo main bana sakta tha is mein hain meri wo khushiyan ki jo mil sakti thin is mein hai meri wo manzil jo main pa sakta tha is mein hain meri mohabbat ke wo sare arman jin se mahrum raha mera ye bedar shabab is mein hain meri kitaben ki jo likkhi na gain is mein hain mere wo ashaar nahin jin ka jawab han yahin dafn hain wo sari kitaben jin ko zindagi deti jo fursat to main likh sakta tha isi mitti mein hain wo nazmen wo ghazlen meri jin ko kahne koi deta to main kah sakta tha mere sayyah bahut tu ne maqabir dekhe sach kaha sadiyon mein ek taj-mahal banta hai han magar meri tarah roz hi insan koi zinda rahne ke liye dahr mein mar jata hai