apne ganw mein

jab kisi fursat mein hum aate hain apne ganw mein
kya bataen kya khushi pate hain apne ganw mein

roz ghar se hum nikalte hain tahalne ke liye
sath ho jate hain kuchh bachche bhi chalne ke liye

kab kami hoti hai kuchh bhi dil bahalne ke liye
pyar ke jab git hum gate hain apne ganw mein

kya bataen kya khushi pate hain apne ganw mein
saf pani lahlahate khet pakiza hawa

sidhe sade log phir us ki mohabbat ki ada
kab kami hoti hai kuchh bhi dil bahalne ke liye

pyar ke jab git hum gate hain apne ganw mein
kya bataen kya khushi pate hain apne ganw mein

us ki mitti se bane us ki hawaon mein badhe
phul ki surat usi ki god mein hum bhi khile

aaj bhi qaem hain us ki shafqaton ke silsile
hum kahin hon dil magar pate hain apne ganw mein

kya bataen kya khushi pate hain apne ganw mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close