daere se tut kar gir padenge abhi aur hum apne hone ki padash mein budhi sadiyon ki tuti hui qaus par ek tarik nuqte mein kho jaenge daeron ke maqabir mein so jaenge daere khwahishon ke maqabir sahi daere aarzu ke minar hain daere be-sabaati ke marqad nahin daere guzre waqton ke aasar hain daeron ki fasilon mein lipte hue an-ginat log jiwan se bezar hain jaane din ke lahu se siyah-raat ko hath dhone mein kaisi masarrat mili kaise kaise jawan-mard the jo kabhi chandni ke safar par rawana hue mausamon ki tamazat ko odhe hue na-rasai ke aazar mein kho gae kitne tare khalaon ki dahliz par raat ke dasht-e-viran mein so gae daeron ki fasilon se girta lahu shahr ke be-nawaon ka tawan hai jangalon mein bhatakti sada ki tarah shahr ka har sada-kar be-jaan hai be-gharon ki tarah beswa ki tarah kohsaron se uljhi hawa ki tarah shahar ke chauk mein naqsh-e-pa ki tarah daeron ki fasilon se darte raho zard patton ki surat hawa ki tarah