aankh bojhal hui zard patte hawa mein bikharne lage main teri samt aage badha aur phir yun laga jaise yak-dam andhera sa chhane laga chaar su dekhte dekhte ghup andhera hua main tujhe dekhta rah gaya teri taswir jab dekhte dekhte ghup andhere mein khone lagi to bina waqt zaea kiye ehtiyatan tujhe main bhi apne tasawwur ki qirtas par ek purane brush jo ki khud bhi tasawwur ki mearaj tha ko ajab be-qarari mein ujlat zada hath mein le ke mahir musawwir ki manind malne laga phir kuchh aisa hua sab badalne laga dekhte dekhte ghup andhera chhata aur har su ujala hua phir teri samt nazren uthin ek lamha to makus qirtas par tere chehre pe thahri rahin aur phir teri peshani ke thik upar teri mang sidhi sadak ke mushabah tere gesuon se guzarti dikhi aur phir ek muflis gharib-ul-watan ki tarah raushni se muzayyan sadak par khiraman khiraman chala aur phir yun hua ki musafir ghane gesuon mein kahin kho gaya