wasia jangal hai ek jaanib pahadon ka silsila chala hai sham aahistagi se pedon pe kuhniyan tekti hai suraj kiran kiran apni raushni rehn rakh ke gharbi dayar-e-falaki se baadalon ka lihaf le kar yak-shabi nind ke tasawwur mein unghta hai khizan-rasida anar ka ek shajar khada hai main jis ke niche ahd-o-paiman ke lal yaqut izhaar o iqrar ke zamurrad kisi ko deta hun aur leta hun aur lafzon ki is tijarat pe apni nind mein muskura raha hun