ai sham-e-'josh' o mashal-e-aiwan-e-arzu ai mehr-e-naz o mah-e-shabistan-e-arzu ai jaan-e-dard-mandi o iman-e-arzu ai sham-e-tur o yusuf-e-kanan-e-arzu zarre ko aaftab to kante ko phul kar ai ruh-e-sher sajda-e-shair qubul kar dariya ka mod naghma-e-shirin ka zer-o-bam chadar shab-e-nujum ki shabnam ka rakht-e-nam titli ka naz-e-raqs ghazala ka husn-e-ram moti ki aab gul ki mahak mah-e-nau ka kham in sab ke imtizaj se paida hui hai tu kitne hasin ufuq se huwaida hui hai tu hota hai mah-washon ka wo aalam tere huzur jaise charagh-e-murda sar-e-bazm-e-sham-e-tur aa kar teri janab mein ai kar-saz-e-nur palkon mein munh chhupate hain jhenpe hue ghurur aati hai ek lahr si chehron par aah ki aankhon mein chhut jati hain nabzen nigah ki raftar hai ki chandni raaton mein mauj-e-gang ya bhairwin ki pichhle pahar qalb mein umang ye kakulon ki tab hai ye aarizon ka rang jis tarah jhutpute mein shab-o-roz ki tarang ru-e-mubin na gesu-e-sumbul-qawam hai wo barhaman ki subh ye saqi ki sham hai aawaz mein ye ras ye latafat ye iztirar jaise subuk mahin rawan reshmi phuwar lahje mein ye khatak hai ki hai neshtar ki dhaar aur gir raha hai dhaar se shabnam ka aabshaar chahki jo tu chaman mein hawaen mahak gain gul-barg-e-tar se os ki bunden tapak gain jadu hai teri saut ka gul par hazar par jaise nasim-e-subh ki ru ju-e-bar par nakhun kisi nigar ka chandi ke tar par mizrab-e-aks-e-qaus rag-e-abshaar par maujen saba ki bagh pe sahba chhidak gain jumbish hui labon ko to kaliyan chatak gain chashm-e-siyah mein wo talatum hai nur ka jaise sharab-e-nab mein jauhar surur ka ya chahchahon ke waqt tamawwuj tuyur ka bandhe hue nishana koi jaise dur ka har mauj-e-rag-e-qamat-e-gul-rez ram mein hai goya sharab-e-tund bilorin qalam mein hai tujh se nazar milae ye kis ki bhala majal tere qadam ka naqsh hasinon ke khadd-o-khal allah re tere husn-e-malak-soz ka jalal jab dekhti hain khuld se huren tera jamal partaw se tere chehra-e-parwin sarisht ke ghabra ke band karti hain ghurfe bahisht ke chehre ko rang-o-nur ka tufan kiye hue sham-o-sharab-o-sher ka unwan kiye hue har naqsh-e-pa ko taj-e-gulistan kiye hue sau tur ek nigah mein pinhan kiye hue aati hai tu chaman mein jab is tarz-o-taur se gul dekhte hain bagh mein bulbul ko ghaur se mere bayan mein sehr-bayani tujhi se hai ru-e-sukhan pe khun-e-jawani tujhi se hai lafzon mein raqs-o-rang-o-rawani tujhi se hai faqr-e-gada mein farr-e-kiyani tujhi se hai fidwi ke is uruj pe karti hai ghaur kya teri hi jutiyon ka tasadduq hai aur kya ai kirdgar mani-e-khallaq sher-e-tar ai jaan-e-zauq o muhsina-e-laili-e-hunar khul jae gar ye baat ki urdu zaban par teri nigah-e-naz ka ehsan hai kis qadar chaaron taraf se nara-e-salle-ala uthe tere mujassamon se zamin jagmaga uthe mere hunar mein sarf hui hai teri nazar khema hai mere nam ka baala-e-bahr-o-bar shohrat ki bazm tujh se munawwar nahin magar farq-e-gada pe taj hai sultan barahna-sar parwane ko wo kaun hai jo manta nahin aur shama kis taraf hai koi jaanta nahin dil teri bazm-e-naz mein jab se hai baryab har khar ek gul hai to har zarra aaftab ek lashkar-e-nashat hai har gham ke ham-rikab zer-e-nagin hai aalam-e-tamkin-o-iztirab baad-e-murad o chashmak-e-tufan liye hue hun bu-e-zulf-o-jumbish-e-mizhgan liye hue tere labon se chashma-e-haiwan mera kalam teri laton se mauja-e-tufan mera kalam teri nazar se tur-e-ba-daman mera kalam tere sukhan se naghma-e-yazdan mera kalam tu hai payam-e-alam-e-baala mere liye ek wahi-e-zi-hayat hai goya mere liye ai mah-e-sher-parwar o mehr-e-sukhan-wari ai aab-o-rang-e-'hafiz' o ai husn-e-'anwari' tu ne hi sabt ki hai ba-sad naz-dawari mere sukhan ki pusht pe mohr-e-payambari teri shamim-e-zulf ki daulat liye hue mera nafas hai bu-e-risalat liye hue dur-ha-e-ab-dar o sharar-ha-e-dil-nashin shab-ha-e-talkh-o-tursh o sahar-ha-e-shakkarin aql-e-nashat-khez o junun-e-gham-afrin daulat wo kaun hai jo meri jeb mein nahin takrai jab bhi mujh se khajil sarwari hui yun hai tere faqir ki jholi bhari hui naghme pale hain daulat-e-guftar se teri paya hai nutq chashm-e-sukhan-bar se teri taqat hai dil mein nargis-e-bimar se teri kya kya mila hai 'josh' ko sarkar se teri banke khayal hain kham-e-gardan liye hue har sher ki kalai hai kangan liye hue ai laili-e-nahufta o ai husn-e-sharmagin tujh par nisar daulat-e-duniya mata-e-din mansub mujh se hai jo ba-andaz-e-dil-nashin teri wo shairi hai meri shairi nahin aawaza charkh par hai jo is dard-mand ka goya wo aks hai tere qadd-e-buland ka mere bayan mein ye jo wafur-e-surur hai taq-e-sukhan-wari mein jo ye sham-e-tur hai ye jo mere charagh ki zau dur dur hai sarkar hi ki mauj-e-tabassum ka nur hai sheron mein karwaten ye nahin soz-o-saz ki lahren hain ye huzur ki zulf-e-daraaz ki mujh rind-husn-kar ki mai-khwariyan na puchh is khwab-e-jaan-faroz ki bedariyan na puchh karti hai kyun sharab khirad-bariyan na puchh be-hoshiyon mein kyun hai ye hoshyariyan na puchh pita hun wo jo zulf ki rangin ghataon mein khinchti hai un ghani hui palkon ki chhanw mein hoshyar is liye hun ki mai-khwar hun tera sayyaad-e-sher hun ki giraftar hun tera lahja malih hai ki namak-khwar hun tera sehhat zaban mein hai ki bimar hun tera tere karam se sher-o-adab ka imam hun shahon pe khanda-zan hun ki tera ghulam hun main wo hun jis ke gham ne tere dil mein rah ki ek umr jis ke ishq mein khud tu ne aah ki soya hai shauq sej pe teri nigah ki raaten kati hain sae mein chashm-e-siyah ki kyun kar na shakh-e-gul ki lachak ho bayan mein teri kamar ka loch hai meri zaban mein tarshe hue labon ke bahakte khitab se zartar kakulon ke mahakte sahab se sarshaar ankhdiyon ke dahakte shabab se mauj-e-nafs ke itr se mukhde ki aab se barah baras tapa ke zamana suhag ka sincha hai tu ne bagh mere dil ki aag ka garmi se jis ki barf ka dewta dare wo aag shoalon mein os ko jo mubaddal kare wo aag lau se jo zamharir ka daman bhare wo aag had hai jo nam nar-e-saqar par dhare wo aag jis ki lapat gale mein jalati hai rag ko pala hai qalb-e-naz mein tu ne us aag ko