kya haal kahen us mausam ka jab jins-e-jawani sasti thi jis phul ko chumo khulta tha jis shai ko dekho hansti thi jina sachcha jina tha hasti ain hasti thi afsana jadu afsun tha ghaflat ninden masti thi un bite dinon ki baat hai ye jab dil ki basti basti thi ghaflat ninden hasti thi aankhen kya paimane the har roz jawani bikti thi har sham-o-sahar baiane the har khar mein ek but-khana tha har phul mein sau mai-khane the kali kali zulfen thin gore gore shane the un bite dinon ki baat hai ye jab dil ki basti basti thi gore gore shane the halki-phulki banhen thin har-gam pe khalwat-khane the har mod pe ishrat-gahen thin tughyan khushi ke aansu the takmil-e-tarab ki aahen thin ishwe chuhlen ghamze the paltin khushiyan chahin thin un bite dinon ki baat hai ye jab dil ki basti basti thi