aai jab un ki yaad to aati chali gai har naqsh-e-ma-siwa ko mitati chali gai har manzar-e-jamal dikhati chali gai jaise unhin ko samne lati chali gai har waqia qarib-tar aata chala gaya har shai hasin-tar nazar aati chali gai virana-e-hayat ke ek ek goshe mein jogan koi sitar bajati chali gai dil phunk raha tha aatish-e-zabt-e-firaq se dipak ko mai-gusar banati chali gai be-harf o be-hikayat o be-saz o be-sada rag rag mein naghma ban ke samati chali gai jitna hi kuchh sukun sa aata chala gaya utna hi be-qarar banati chali gai kaifiyyaton ko hosh sa aata chala gaya be-kaifiyon ko nind si aati chali gai kya kya na husn-e-yar se shikwe the ishq ko kya kya na sharmsar banati chali gai tafriq-e-husn-o-ishq ka jhagda nahin raha tamiz-e-qurb-o-buad mitati chali gai main tishna-kaam-e-shauq tha pita chala gaya wo mast ankhdiyon se pilati chali gai ek husn-e-be-jihat ki faza-e-basit mein udti gai mujhe bhi udati chali gai phir main hun aur ishq ki betabiyan 'jigar' achchha hua wo nind ki mati chali gai