mere fankar mujhe khub tarasha tu ne aankh nilam ki badan chandi ka yaqut ke lab ye tere zauq-e-talab ke bhi hain mear ajab paon mein mere ye pazeb saja di tu ne nuqrai tar mein aawaz mundha di tu ne ye jawahar se jadi qimti murat meri apne saman-e-tayyush mein laga di tu ne main ne mana ki hasin hai tera shahkar magar tere shahkar mein mujh jaisi koi baat nahin tujh ko nilam si nazar aati hain aankhen meri dard ke in mein samundar nahin dekhe tu ne tu ne jab ki lab o rukhsar ki khattati ki jo waraq likkhe the dil par nahin dekhe tu ne mere fankar tere zauq tere fan ka kamal mere pindar ki qimat na chuka paega tu ne but ya to tarashe ya tarashe hain khuda tu bhala kya meri taswir bana paega tere auraq se ye shakl mitani hogi apni taswir mujhe aap banani hogi hosh bhi jurat-e-guftar bhi binai bhi jurat-e-ishq bhi hai zabt ki ranai bhi jitne jauhar hain numu ke meri tamir mein hain dekh ye rang jo taza meri taswir mein hain