baitha hai mere samne wo jaane kisi soch mein pada hai achchhi aankhen mili hain us ko wahshat karna bhi aa gaya hai bichh jaun main us ke raste mein phir bhi kya is se faeda hai hum donon hi ye to jaante hain wo mere liye nahin bana hai mere liye us ke hath kafi us ke liye sara falsafa hai meri nazron se hai pareshan khud apni kashish se hi khafa hai sab baat samajh raha hai lekin gum-sum sa mujh ko dekhta hai jaise mele mein koi bachcha apni man se bichhad gaya hai us ke sine mein chhup ke roun mera dil to ye chahta hai kaisa khush-rang phul hai wo jo us ke labon pe khil raha hai ya rab wo mujhe kabhi na bhule meri tujh se yahi dua hai