kabhi kabhi ye sochti hun aakhir main teacher kyon hun kuchh aur na kar saki kya is liye main teacher hun jawab yahi bas aata hai sab kuchh kar sakti hun shayad isi liye main teacher hun nanhe-munne bachchon mein main apna bachpan dekhti hun kisi mein 'sir-sayyad' kisi mein 'kalam' dekhti hun kabhi kabhi ye sochti hun ki mujhe sirf kitabon ke nisab hi padhane hain ya ki un ke zehn ki kori takhti par kuchh aur likhna hai bachche to kachchi mitti ke londe hain unhen mujhe hi sanwarna sajaana hai aur insaniyat ke sanche mein dhaal kar ek behtar insan banana hai agar main ye sab kuchh kar saki to kaamyab hai mera maqsad mera kaam se mohabbat khuda ki khas rahmat kabhi kabhi sochti hun mujhe hi to banani hai in naunihaalon ki shakhsiyat jo aaj kamzor paude hain kal saya-dar darakht honge yahi qaum-o-millat ke bakht honge shayad isi liye main teacher hun