ja rahi hun main kar rahi hun tumhaara ghar tumhaare hawale khali ho jaegi har wo jagah jo mere ashkon se bhari hai abhi le jaungi har ashk apne sath samet kar kuchh gamlon ke phul pe os se chamak rahe honge kuchh saj-dhaj ke baithe honge dahliz pe zard the jo kuchh jaane ud ke kahan gire honge kuchh mitti ke andar bij ban kar gire the ab wo kya ban ke uge honge mere honton se lipte the jo ab bhi tange honge wahan tale ban kar kuchh tumhaare kandhe tak pahunch pane ki jidd-o-jahd mein jujh rahe honge kuchh puja-ghar ke diye ke sath jal rahe honge kuchh kitabon ke dhule hue shabdon ki siyahi se ja mile honge kuchh dhaar ban kar mere kanon se guzre honge pichhe se baalon mein ja chhupe honge kuchh takiye ki narm rui ne chus liye honge rasoi ghar ki bhap mein to kuchh bartanon mein sade pade honge kuchh masum sahme hue chhup ke baithe honge kuchh be-fikr haqiqat se tahal rahe honge kuchh budhe ashk nae janmon ko aasra de rahe honge kuchh tumhaari khidmat se thake zamin pe so rahe honge tapan se janme kuchh dhundh rahe honge thandak si kuchh diwar pe lagi hamari taswir tak rahe honge baghi se kuchh tumhein chhodne ki zid pe ade honge kuchh teri ek nazar ki pyas liye nazar-andaz khade honge kuchh zehn mein honge mere jo bahna nahin jaante kuchh hai aise jinhen thaharna nahin aata unhin piya hai jiya hai main ne qiston mein mile the mujhe ek sath kaise le jaungi aangan bah jaega tumhaara raste bhi ye baha denge par mere apne hai ye yaqin hai mujhe mere aakhiri maqam tak pahuncha denge