sharir mein koi tadap si hogi ya koi aadat si padi hogi kai dino ki kai chizo ki bhuk to hogi koi maqsad hoga ya yun hi zindagi nange panw ki daud hogi dhup ko pardon se wapas bhej diya amiron ne wo ja kar kai aankhon mein andhere bhar rahi hogi kuchh hai nahin takrane ko kya usi karan mayusi mein lipti ninden phail ke so rahi hogi khwabon mein pariyan khinch ke lai jati hongi bebasi chand niwalon se gale utari hogi mahfilon mein kaun si khasiyat batti hogi kitni unchai pe sapne rakhe jate honge kya khwabon ki paribhasha bhi padhai jati hogi aankhon se bahti zid se hasil kya hota hoga kya tutne pe phut phut ke roti hongi kaun se qisse honge jo khali pet hansi nikalti hogi bukhar mein aaram ke liye kaun se bahane dharte honge gadiyon ke tyre ke nishan sine pe padte honge sadkon pe kai bachpan bhuk mein dab ke marte honge