fikr-o-alam ke baadal mein hain anwar-e-hayat raushni kya kisi tanwir ka partaw bhi nahin nau-e-insan ki fazaon pe hai zulmat ka jamaw sham-e-mahtab ka kya zikr koi lau bhi nahin zehn tarik hain ajsam ki duniya hai siyah hai anasir ki fazaon mein talatum barpa amn ki mauj ka milta nahin halka sa nishan zindagi mein hai maqasid ka tasadum barpa bartari paikar-o-ajsam ki hai jo kuchh hai ruh ko qabil-e-tazhik kaha jata hai kya zamana hai ki zulmat ko samajhte hain nur nur ko jada-e-tarik kaha jata hai aao ai ahl-e-khirad ahl-e-junun ahl-e-zamin bazm-e-hasti mein mohabbat se charaghan kar den ruh-e-irfan ka anasir ko suna kar paigham aaj insan ko phir mahram-e-insan kar den