is retile badan ki jhulsi hui ragon mein hai tel ka tamasha aur barf ki tahon mein hai surajon ka girya ya paniyon ki dahshat ya khushk-saliyan hain mahtab se tapakta tarikiyon ka lawa rukhsar daghta hai us subh ka sitara chidiyon ke ghonslon mein barud bantta hai un chotiyon pe parcham anjaan wadiyon ke aur wadiyon pe daim anjaan chotiyon ke sayon ki hukmarani ye mere aansuon mein rakhi hui dhanak hai us husn ki kahani namkin paniyon ki taskin ban rahi hai un sabz gumbadon par baithe hue kabutar aankhen nahin jhapakte aur bargadon ke pichhe soe hue payambar khwabon mein jagte hain in aainon pe mitti in khidkiyon mein jale ye jam reza reza ye tishna-lab nawa-gar ye be-nawa gadagar aur retile badan ki jhulsi hui ragon mein hai tel ka khazana is barf ki tahon mein in surajon ka girya sailab kab banega ye ret kab dhulegi in khushk tahniyon mein mahtab kab banega sadiyon ka bojh uthae sadiyon se muntazir hain qirtas-e-ahmarin par dhabbe se raushni ke la-raib ye risalat la-raib ye sahife lekin tere ujale dimak hi chatti thi dimak hi chatti hai