bachcha aur murgha

ek bachche ne murghe se kaha
pyare murghe ye shor hai kya

sun sun teri kukdun-kun
main sakht pareshan hota hun

jab tare chhupte hote hain
sab chain aaram se sote hain

us waqt se tu chillata hai
kyun itna shor machata hai

malum ho aakhir baat hai kya
kuchh apne dil ka haal bata

ja dur macha ye shor kahin
padhne mein dil lagta hi nahin

murghe ne suna bachche ka bayan
bola na ho naraaz miyan

tum sab nind ke mate ho
so so waqt ganwate ho

ye main jo shor machata hun
malik ko pukare jata hun

ye meri ibaadat hai pyare
allah ki taat hai pyare

main qahr se us ke darta hun
har waqt ibaadat karta hun

jab subh ko bang main deta hun
aur nam khuda ka leta hun

tum kitne ghafil hote ho
main jagta hun tum sote ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close