bas ek andaza By Tasawwur, Judai, Nazm << ashkon mein dhanak barbat-e-shikasta >> baras guzre tumhein soe hue uth jao sunti ho ab uth jao main aaya hun main andaze se samjha hun yahan soi hui ho tum yahan ru-e-zamin ke is maqam-e-asmani-tar ki had mein baad-ha-e-tund ne mere liye bas ek andaza hi chhoda hai! Share on: