asir-e-ishq

jis tarah parinda sahra ka pani ki talash mein phirta hai
tu dhundhta mujh ko aaega kyon mujh se nafrat karta hai

kya meri judai se bhi tadap dil ki tere tez nahin hoti
kya bastiyan armanon ki teri sine mein padi hain yunhi soti

kya mere tasawwur se bhi tere jazbaat mein josh nahin aata
kya khun ka ek qatra bhi tera aisa nahin jo garma jata

jo dil hai tera wo mera hai aur meri itaat karta hai
kamzor mohabbat hai teri par dam wo mera hi bharta hai

main thame hue hun hathon se phande main mere hai wo goya
ya dam mein jaise murgh koi dana ki hawas mein ho aaya

ud ja hai ijazat tujh ko meri par halqa-e-ulfat se bahar
tu ud nahin sakta ai pyare gar ghum bhi le sab bahr-o-bar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close