asir kar nahin sakta inhen koi mausam ye log apne zamane se aage chalte hain kahin thaharte nahin ye kisi bhi aalam mein ye udte lamhon ki raftar ko badalte hain ye bandagan-e-mohabbat hain in ki barakat se bisat-e-dil pe hazaron charagh jalte hain inhin ka faiz inhin ka karam hai basti mein ki log raqs-kunan hain surur-o-masti mein mahak rahe hain dilon ke hazar kashane utar rahi hai gharon mein ye raushni ki baraat bikhar rahi hai faza-e-zamin khush-auqat khile khile hain rah-e-zindagi ke sab ashjar hayat bant rahi hai bahaar ki saughat