aaiye waqt ke chehre se uthaen ye naqab aaiye apne raqibon se mulaqat karen aaiye pyar ki tahzib ka unwan ban kar ek nae ahd ki takhliq ki kuchh baat karen aaiye is kadi diwar-e-sitam ko dhaen sab mein taqsim mohabbat hi ki saughat karen baith ke dil ke darichon ko zara kholen to khulte mausam ki hawaon ko giraftar karen jo na socha tha kabhi hum ne wo sochen be-shak mil ke chalne ke liye zehn ko tayyar karen aag nafrat ki jalati hai khushi ke aangan phul khushbu se zamin ko hasin gulzar karen faisla ab na hua jang se be-zari ka to kabhi amn ka mahaul na hoga tari aag barud ki bu aaegi is mitti se tank topon mein basar umr ye hogi sari