ufuq ke surkh kohre mein kuhistan duba duba hai pakheru kunj mein jhankar ko apni samote hain talatum ghas ke ban ka thama tare darakhton ki ghani shakhon ke aawezan mein moti se pirote hain sabhi sakhiyan gharon ko le ke gagar ja chukin kab ki darichon se ab un ke raushni rah rah ke chhanti hai dhuan chulhon ka halqa halqa lahraata hai aangan mein udasi sham ki ek zamzama ek git banti hai ye pani jis ne di phulon ko khushbu dub ki rangat halawat ghol di aazad chidiyon ke tarannum mein dahakte zard tilon ke dilon ki khunkiyan bakhshin dhala aakhir ye kaise mere aazurda tabassum mein tahi gagar kinare par rakhe is soch mein gum hun ki ye zanjir kya hai jis ne mujh ko bandh rakkha hai