sadak be-dhadak ham-safar hai chali ja rahi hai ki bas manzil-e-shauq hadd-e-nazar hai kai ham-safar rah gae raste mein magar ye rawan hai hamesha shajar shahr naddi musafir har ek se use pyar sa hai milan ki kai hasraten apne andar samete kade faslon ki masafat lapete yunhi lete lete chali ja rahi hai sujhati hui ham-safar ko jahan bhi to ek rahguzar hai sadak be-dhadak ham-safar hai