hum banjare dil wale hain aur painth mein dere dale hain tum dhoka dene wali ho? hum dhoka khane wale hain is mein to nahin sharmaogi? kya dhoka dene aaogi? sab mal nikalo, le aao ai basti walo le aao ye tan ka jhuta jadu bhi ye man ki jhuti khushbu bhi ye tal banate aansu bhi ye jal bichhate gesu bhi ye larzish dolte sine ki par sach nahin bolte sine ki ye hont bhi, hum se kya chori kya sach-much jhute hain gori? in ramzon mein in ghaton mein in wadon mein in baaton mein kuchh khot haqiqat ka to nahin? kuchh mail sadaqat ka to nahin? ye sare dhoke le aao ye pyare dhoke le aao kyun rakkho khud se dur hamein jo dam kaho manzur hamein in kanch ke mankon ke badle han bolo gori kya logi? tum ek jahan ki ashrafiyan? ya dil aur jaan ki ashrafiyan?