baat niklegi to phir dur talak jaegi log be-wajah udasi ka sabab puchhenge ye bhi pochhenge ki tum itni pareshan kyun ho ungliyan utthengi sukhe hue baalon ki taraf ek nazar dekhenge guzre hue salon ki taraf chudiyon par bhi kai tanz kiye jaenge kanpte hathon pe fiqre bhi kase jaenge log zalim hain har ek baat ka tana denge baaton baaton mein mera zikr bhi le aaenge un ki baaton ka zara sa bhi asar mat lena warna chehre ke tassur se samajh jaenge chahe kuchh bhi ho sawalat na karna un se mere bare mein koi baat na karna un se baat niklegi to phir dur talak jaegi