raat ko aksar hota hai parwane aa kar table lamp ke gard ikatthe ho jate hain sunte hain sar dhunte hain sun ke sab ashaar ghazal ke jab bhi main diwan-e-ghaalib khol ke padhne baithta hun subh phir diwan ke raushan safhon se parwanon ki rakh uthani padti hai