faza-e-zist pe chhai hai kaisi khamoshi na koi shor na shewan na girya-o-zari na koi shikwa-ba-lab hai na koi fariyaadi na koi dard ka qissa na koi zikr-e-alam na siskiyon ka koi irtiash zholida na dud-e-ah-o-fughan ki koi giranbari na koi harf-e-alam hai na istiara-e-gham na koi qatra-e-khun hai siyahi-e-qirtas sitam-kashon pe hai tari ajib aalam-e-yas nahin hain aish ke naghme to gham ke git sahi kisi ke halqa-e-zanjir hi ke saz bajen kisi ka zakhm-e-jigar hi chatak ke de aawaz kahin se dil ke dhadakne hi ki sada aae rafiqo kuchh to karo arz-e-haal ka saman kisi tarah to koi dil-figar le phute kisi tarah to fusun-e-sukut-e-shab tute