ek nazm waqt ki jeb kati gai aur churai hui saaten zindagani ke nilam-ghar mein mohabbat ki utran ka bhaw chukane mein kharchi gain hum ne fursat ka sona luta kar wo rishte kharide jinhen ghar ke sanduqche ka tahaffuz mayassar nahin aa saka kab talak aise rishte girah mein liye ghumna be-khayali mein tabdil hote hue pairahan mein kisi din ye saman rah jaega dil ke kone mein matruk chizon ke bikhre hue dher par cigareton se udhaara dhuan khinch kar be-nishani ki chadar chadhane ko jitna samay chahiye wo hatheli ki uljhi lakiron se ladne mein lag jaega in khayalon ki la-yaniyat surkh aankhon mein ghulte hue be-wajh rat-jagon phephadon mein utarte hue zahr mein dafn hai jaise ganw se aaya hua ek musafir bade shahr mein oh bade shahr se yaad aaya sawa tin bajne ko hain in churai hui saaton se agar kuchh bacha hai use potli mein rakho apne lafzon ka khwancha uthao sadaen lagao chalo kaam ka waqt hai