tumhaare gale mein nae khwab ke motiyon ki sunahri si mala hamari nahin hai samundar wo jis par tumhaare qadam kashtiyan hon hamein sirf dars-e-fana hai hamare liye to kisi ajnabi si sada ke bhanwar se nikalna bhi mumkin nahin hai hamein aashna si nigahon se sabze mein lipti hawa ne bulaya to hum gir padenge khizan ke shajar se koi aakhiri phul ban kar hamare har ek aaine ka to shewa hai bas tutte dil ke ehsas se tut jaana qayafa lagana bhala kaun si aankh namkin se jhut ke paniyon se bhari hai bhala kaun se hont shiriniyan bantte hain shuruat-e-chahat mein aisa qayafa lagana nahin jaante hum