aur hawa chup rahi

shakh-e-zaitun par kam-sukhan fakhtaon ke itne basere ujade gae
aur hawa chup rahi
be-karan aasmanon ki pihnaiyan be-nasheman shikasta paron ki tag-o-taz par bain karti rahin
aur hawa chup rahi
zard parcham udata hua lashkar-e-be-aman gul-zaminon ko pamal karta raha
aur hawa chup rahi
aarzumand aankhen bashaarat-talab dil duaon ko utthe hue hath sab be-samar rah gae
aur hawa chup rahi
aur tab habs ke qaharman mausamon ke azab in zaminon pe bheje gae
aur munadi kara di gai
jab kabhi rang ki khushbuon ki udanon ki aawaz ki aur khwabon ki tauhin ki jaegi
ye azab in zaminon pe aate rahenge
This is a great facebook tag shayari. True lovers of tanhaiyan shayari will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore suhana mausam shayari. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close