aasman tapte hue lohe ki manind safed reg sukhi hui pyase ki zaban ki manind pyas hulqum mein hai jism mein hai jaan mein hai sar-ba-zanu hun jhulaste hue registan mein teri sarkar mein le aai hun ye wahsh zabih! mujh pe lazim thi jo qurbani wo main ne kar di us ki ubli hui aankhon mein abhi tak hai chamak aur siyah-baal hain bhige hue khun se ab tak tera farman ye tha us pe koi dagh na ho so ye be-aib achhuta bhi tha an-dekha bhi be-karan reg mein sab garm lahu jazb hua dekh chadar pe meri sabt hai us ka dhabba ai khuda-wand-e-kabir ai jabbar! mutakabbir o jalil! han tere nam padhe aur kiya zabh use ab koi para-e-abr aae kahin saya ho ai khuda-wand-e-azim baad-e-taskin! ke nafas aag bana jata hai! qatra-e-ab ki jaan lab pe chali aai hai
This is a great qurbani shayari in urdu. True lovers of kabir shayari in hindi will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore registan urdu shayari. Please share if you liked this!!!