na jaane kyun ye lag raha hai jaise kho gaya hai kuchh kabhi ye lag raha hai jaise hum ne pa liya hai kuchh wo kya hai jo ki kho gaya wo kya tha jis ko pa liya ye baat mushtamil hai ek arsa-e-qaleel par qalandar ek ru-numa hua tha ek sabil par wo pahle ilm-o-fan ki puri pyas ko jagata tha sawal puchhta tha aur tishnagi bujhata tha wo kahta tha ki khwab dekho jagti in aankhon se wo haarne ke qisse ko hi padhta tha padhata tha wo kahta tha ki jit ke ye waqiye payam hi to dete hain magar shikast jaane kitne raston ke kuchh alag alag nishan deti hai samundaron ki god mein wo khel kar jawan hua aur apne ilm-o-fan se wo jahan par hi chha gaya har ek mulk jaane kab se us ka muntazir raha magar wo hind ka suput hind mein raha kya wo apne mulk ke tamam bachchon se ye kahta tha ki kala rang dagh ho bhi sakta hai kasi jagah magar ye rang fann-e-justujoo liye charaghan hai kasi jagah na jaane aise kitne formule wo jahan ko hai de gaya wo ilm ka naqib tha wo jehl ki salib tha wo fahm ka rafiq tha wo mukhlis-o-shafeeq tha wo infiradiyat ka ek jaana mana nam tha wo injizabiyat ka ek khushnuma payam tha magar wo shakhs aaj hum ko chhod kar chala gaya hai saneha ye mulk ke liye bahut bada magar ghalat na hoga ai 'shifa' main baat ye kahun agar ki main to gum hon bas kisi ne is ek fikr mein kise talash kar ke laun ab main apne mulk se jise na apne ohde aur rutbe ka ghurur ho jise na apne ilm ka hunar ka kuchh surur ho jo aae to khazana-e-ulum le ke aae aur jo jae to muhabbat-e-awam le ke jae bas bhatak raha hai zehn-o-dil talash-e-na-guzir ko aur aankh dhundhti hai bas ek aise be-nazir ko