duniya ke liye tohfa-e-nayab hai aurat afsana-e-hasti ka hasin bab hai aurat dekha tha jo aadam ne wahi khwab hai aurat be-misl hai aaina-e-adab hai aurat qaem usi aurat se mohabbat ki faza hai aurat ki ata asal mein ehsan-e-khuda hai hai man to dil-o-jaan se lutati hai sada pyar mamta ke liye phirti hai daulat sar-e-bazar aasan banati hai dua se rah-e-dushwar apne gham-o-alam ka karti nahin izhaar qadmon mein liye rahti hai jannat ka khazana aurat ke tasawwur mein hai tamir-e-zamana biwi hai to gham-khwar hai paikar hai wafa ka aanchal ko bana leti hai fanus haya ka rukh dekh ke rakhti hai qadam apna hawa ka girwida banati hai tabassum ki ada ka khwab-e-nigah-e-ishq ki tabir hai aurat mardon ke liye husn ki zanjir hai aurat hai shakl mein beti ki bahaar-e-sahr-o-sham qudrat ka atiya hai ye qudrat ka hai inam deti hai masarrat ka dil-e-zar ko paigham hai ruh ko taskin jigar ka hai ye aaram dukhtar hai to anmol guhar kahte hain us ko allah ki rahmat ka samar kahte hain is ko surat mein bahan ki hai chaman ka ye hasin phul isar-o-mohabbat hai shab-o-roz ka mamul be-kar ki ranjish ko kabhi deti nahin tul ehsas-e-murawwat mein raha karti hai mashghul likhi hai har ek rang mein aurat ki kahani kahte hain use azmat-e-insan ki nishani mariyam hai to pakiza-o-shaffaf hain aamal ban jae zulekha to haya ko kare pamal gar hai cleopatra to siyasat ki chale chaal laila hai to karti hai ye diwana-o-bad-haal dhal jaana har ek rup mein aasan hai us ko badle hue haalat ki pahchan hai us ko 'hinda' hai to salari ka dikhlati hai jauhar hai 'rabia-basri' to ye waliyon ki hai ham-sar baithi hai agar husn ka bazar saja kar ghairat ko banati hai asir-e-hawas-e-zar waqif hai bahar-taur ye jine ke hunar se be-khauf guzar jati hai har rahguzar se ek pal mein ye shoala hai to ek pal mein hai shabnam yani hai kabhi gul to kabhi khar-e-mujassam ho sabr pe aamada to sah jae har ek gham ho jae mukhalif to palat de saf-e-alam paband-e-wafa ho to dil-o-jaan luta de aa jae baghawat pe to duniya ko hila de