raat viran hai bahut viran aasman lash hai jali hui lash jis ke sine pe chiyuntiyon ki tarah ek amboh hai sitaron ka rizq chunte hain aur khate hain khamushi se guzarte jate hain hae ye raat hae hae ye raat kab basar hogi kaise guzregi koi dekhe meri nazar se use koi chaara mujhe batae mera kuchh ilaj us nazar ka koi dawa ya phir aankhen hi noch le meri hai masiha koi tabib koi kaun mere alawa dekhega jo meri aankh par bhi hai dushwar gham ki azmat ko kaun pahchane chhod kar zindagi ka karobar kise fursat ki aankh uthae zara shab ki viraniyon ka nauha likhe aasman ka janaza padh dale aur sitaron ka rasta roke kise fursat hai mujh se baat kare meri aankhon mein jhank kar dam-bhar mujh se puchhe ki main ne kya dekha bhari duniya mein kaun dida-war kaun rakhta hai meri jaisi nazar kaun puchhe ki main ne kya dekha gham ki azmat ko kaun pahchana kise fursat ki mujh ko pahchane