hum gandum par iktifa kar lete lekin hamare samne kachchi roti ki mahak rakhi gai aur phir roze todne pade hum ek gunah par raazi the lekin un mein mamta kut kut kar bhari hui thi so hamein sare sawab khone pade hum apni zaminon par mutmain hone ko the ki jangal mein lakadhaare se mulaqat ho gai aur achanak barsat hamein chaar ke mani malum bhi na ho pate agar hum kabhi ek se sair na hue hote aur is amal ko zarb-e-musalsal se na guzara jata hamein har kuen mein khud-kushi ka shauq bhi na hota agar wo hamari raat se zyaada gahre na ho sakte aur pani mazid sasta hum un ke pairon talak rahte agar dil ka rasta naf se ho kar na jata aur dimagh wo takiyon pe na dhar aatin hamein surkh rang ki aadat dali gai jis se un par lagne wale sare dhabbe hamare kahlae aur sharab ke mani badalte rahe hamein aag se khelte hue ek raat bhi na mukammal hui ki elan hua apni marzi se khelne par hawiya hamesha ke liye tumhaari hui