Khaaliq-e-gul-e-tar ki yaad mein

dosto aaj makhdum hum mein nahin
han wahi tha jo ek namwar rahnuma

jo gharibon ka hamdard tha
aur mehnat-kashon se jise pyar tha

han wahi jo pasandida shair bhi tha
jis ki nazmon mein tha fikr ka bankpan

jis ki ghazlen taghazzul se bharpur thin
jis ko mashriq mein shohrat mili

jis ko maghrib mein izzat mili
jis ko apne watan mein mohabbat mili

masjidon ne sada di jise
mandiron ne dua di jise

mahfil-e-sher thi jis ke dam se jawan
le rahi thi naya mod urdu zaban

yak-ba-yak hashr sa ek bapa ho gaya
aur makhdum hum se juda ho gaya

mit gaya ek daur ek sadi lut gai
aaj makhdum hum mein nahin dosto

ab kahan aaegi baat makhdum ki
hai sawera magar is mein surkhi nahin

hai gulistan magar wo gul-e-tar nahin
ab sahaara hai ek yaad-e-makhdum ka

aao sab sath mil kar chalen dosto
ek chanbeli ke mandwe tale

mai-kade se zara dur us mod par
baith kar der tak yaad-e-makhdum mein

aansuon ka manaenge ek jashn hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close