dil ki diwaron se udasi ko khurach kar ek nazm mein ikattha karna auraton ka pasandida khel nahin auraton ko wo khel pasand nahin jin ke aakhir mein taliyan na bajai ja saken auraton ko pasand nahin log jo apna dil tukde kar ke phenk rahe hote hain jo zindagi ki kitab mein hashiyon par darj hote hain aur footnote se upar jhankne ki koshish karte rahte hain jo kisi kaghaz ke tukde par tahrir kar ke phenk dete hain main tumhaare baghair nahin rah sakta nahin jaanti hain aurten koi sada si satar kaghaz par kitni darashti se likhi ja sakti hai aaram se padh jati hain wo nahin jaanti hain aurten khurdure lafzon se kati hui zindagi tez aanch par rakhe hue dil aankhon mein bahut gahra dekhti hui aankhen aur ek khel dil ki diwaron se udasi ko khurach kar ek nazm mein ikattha karne ka