kab se sunsan kharabon mein pada tha ye jahan kab se khwabida the is wadi-e-khara ke sanam kis ko malum ye sadiyon ke pur-asrar bharam kaun jaane ki ye patthar bhi kabhi the insan sirf lab-dokht parbat hain jahan nauha-kunan na dar-o-baam na diwar o daricha koi koi dahliz-e-shikasta na harim-e-viran shahr ke shahr hain patal ke daman mein nihan kaun pahchanta zulmat hain siyahi ke nishan jo nazar dhundne utthi wo nazar bhi khoi chashm-e-mahtab bhi shabnam ki jagah khun roi ilm ne aaj kurede hain wo zulmat ke dher waqt ne jis pe bithae the fana ke pahre jag uthe sur-e-sarafil se gunge bahre ta-abad jin ke muqaddar mein thi duniya andher ye magar azmat-e-insan hai ki taqdir ke pher? ye imaraat, ye minar, ye gulzar, ye khet toda-e-khak se hasti ne liya taza janm ji uthe wadi-e-khamosh ke be-jaan sanam phir koi chirega zarre ka jigar qatra-e-yam dafn kar dega jo khaliq ko bhi makhluq samet aur ye aabaadiyan ban jaengi phir ret hi ret