suno agar tum khatm karna hi chahte ho to aadmi ko aadmi se karne wale aadmi ko khatm kar do us se wo sab kuchh chhin lo jo tumhaare pas bahut pahle bhi nahin tha aur baad mein bhi nahin hai jab aag aur barf ki tasir ek hi hai to donon ki alag alag shakl tumhein kya de sakti hai ya tum is se kya le sakte ho siwae is ke ki tum aag ko khatm kar do aur barf ko bhi khatm kar do magar jo aag aur barf tumhaari ruh mein kahin rakhi hui thi ya to tum ne kabhi lams nahin kiya ya jo aadmi ruh mein rakha hua tha use to tum ne kabhi nahin chhua phir malum nahin us ka kaun sa jism tumhaare hath laga ki tum ne us ke tukde tukde kar ke use rishton mein taqsim kar diya man bap beta beti bhai bahan aur un par hukumat karne wale badtarin mahkum bhi tum hi nikle yani kisi man bap ne apne bete aur beti ki aag ko janm de ke kabhi is par ghadi-bhar sar rakh ke sona chaha to use sone nahin diya gaya phir jab bhai bahan alag alag apni aag aur barf ki tijarat ko nikle to is mein aadmi hi shamil nahin tha ya shayad aadmi ka hi nam khasara rakha gaya phir bhi jab tumhaara bisat bhar hona hi tumhaara muqaddar thahra to yaad karo ki wo tum hi the ya tum nahin the ya jise khuda ke aakhiri jawab mein aawaz di gai pukara gaya is se badh ke bhi koi dukh kya ho sakta hai ki bichhdi hui zindagi ke bichhde hue ped yaad na rahen phir bhi zara mud ke dekho to sahi ki kahin suraj sawa-neze pe to nahin aa chuka kaenat kahan hai zamin to kaenat se khali hai bina kaenat ke bhi koi zamin zamin ho sakti hai bina suraj ke bhi koi dhup dhup ho sakti hai bina chand ke bhi koi chandni chandni ho sakti hai yani koi din din nahin yani koi raat raat nahin yani koi aab-o-hawa aab-o-hawa nahin yani koi mausam mausam nahin yani zamin par zamin hi nahin aur bahut kuchh hai agar darwaza ko kholne aur band karne wala hi na ho to koi khula darwaza band darwaza se bhi ziyaada band hota hai koi shahr chaaron taraf se khula ho aur band bhi ho to samajh lo ki is mein rahne wale rahte hue bhi nahin rahte is mein koi makhluq rahti hai zamin ke kisi mulk mein bhi tarikh ki virani ke siwa koi aabaad nahin jab aadmi ke munh aankh nak aur kan ke hote hue bhi aadmi ki shakl nahin banti to koi aawaz aawaz hote hue bhi aawaz kaise ho sakti hai to bolte hue bhi kaise bol sakta hai to koi dekhte hue bhi kaise dekh sakta hai to koi sunghte hue bhi kaise sungh sakta hai to koi sunte hue bhi kaise sun sakta hai suno ummid to maut ke hath mein ek kaam hai jise wo tumhaari gardan mein shikanja kar ke aage hi aage chalti chali jati hai aur tum ke us pichhe kashan kashan khinche chale jate ho magar wo duniya to ab kahin nahin rahi wo to tumhaari zamin mein ya tum mein kahin gum ho gai