ghantiyan gunj uthin gunj uthin gas bekar jalate ho bujha do burner apni chizon ko utha kar rakkho jao ghar jao laga do ye kiwad ek nili si hasin rang ki copy le kar main yahan ghar ko chala aata hun ek cigarette ko sulgata hun wo meri aas mein baithi hogi wo meri rah bhi takti hogi kyun abhi tak nahin aae aakhir sochte sochte thak jaegi ghabraegi aur jab dur se dekhegi to khil jaegi us ke jazbaat chhalak utthenge us ka sina bhi dhadak utthega us ki banhon mein naya khun simat aaega us ke mathe pe nai subh ubharti hogi us ke honton pe nae git larazte honge us ki aankhon mein naya husn nikhar aaega ek targhib nazar aaegi us ke honton ke sabhi git chura hi lunga oh kya soch raha hun mujhe kuchh yaad nahin main tasawwur mein gharaunde to bana leta hun apni tanhai ko pardon mein chhupa leta hun