tujhe chhu kar bahaar aai thi kunj-e-gham mein barsa tha tere aane se sawan chandni chhitki thi phuli thi shafaq boli thi koyal dekh kar tujh ko amal ye sans lene ka bahut aasan hua tha khel sa lagne laga tha aazmaish se guzarna karzar-e-zist mein, din raat karta ab magar phir ibtida se kawish-e-paiham mein ghume ja rahe hain waqt ke pahiye nae taklif-dah aaghaz se hum ko guzarna pad raha hai phir