kisi ke dur jaane se talluq tut jaane se kisi ke man jaane se kisi ke ruth jaane se mujhe ab dar nahin lagta kisi ko aazmane se kisi ke aazmane se kisi ko yaad rakhne se kisi ko bhul jaane se mujhe ab dar nahin lagta kisi ko chhod dene se kisi ke chhod jaane se na shama ko jalane se na shama ko bujhane se mujhe ab dar nahin lagta akele muskurane se kabhi aansu bahane se na is sare zamane se haqiqat se fasane se mujhe ab dar nahin lagta kisi ki na-rasai se kisi ki parsai se kisi ki bewafai se kisi dukh intihai se mujhe ab dar nahin lagta na to is par rahne se na to us par rahne se na apni zindagani se na ek din maut aane se mujhe ab dar nahin lagta