charag hai, kitab hai sawal hai, jawab hai ki aasman munder hai ki ye zamin bhi dher hai kisi ka koi nam hai na zindagi mudam hai magar wo ek shakhs hai jo dhup ki kagar hai jahan ka us pe bar hai chale chalo ki waqt hai, azab kitna sakht hai magar wo kab zawal hai, wo mausamon ki shaal hai pahan rahi hai sham bhi badal rahi hai raat bhi ki ug raha hai aasman ki dhul rahi hai phir sahar charag hai, kitab hai, sawal hai, jawab hai magar hain log aaj kal na is taraf na us taraf na is taraf na us taraf