zaban jis ko har ek bole usi ka nam hai urdu zaban-e-sher mein fitrat ka ek inam hai urdu sabhi is ko samajhte hain sabhi mein aam hai urdu zaban koi bhi ho har ek ka anjam hai urdu gae wo din ki jab kuchh log hi is ko samajhte the zabanon mein ubhar aai hai tasht-az-baam hai urdu kahin hai ibtida is ki kahin hai intiha mazhar kahin aaghaz hai urdu kahin anjam hai urdu ye ba-akhlaq qaumon mein sirishta hai ukhuwwat ka suluk-e-ghair se bhi aaj khush-anjam hai urdu muraqqa hai hasin tahrik-e-afsani ke khakon ka mukammal ijtima-e-gauhar-ayyam hai urdu urus-e-zindagi ki tab-o-zinat jis zaban se hai usi khush-kaam fitrat ka achhuta nam hai urdu dayar-e-pak ya hindostan donon watan is ke zaban har ek jis mein qaid hai wo dam hai urdu zara si thes se bhi shisha-e-dil tut jata hai bahut nazuk magar az-qism istihkaam hai urdu ba-har-unwan yahi ek peshwa-e-husn-o-khubi hai ghalat hai asia mein morid-e-ilzam hai urdu mamalik-ghair mein bhi aaj is ko sab samajhte hain watan walon mein ek taswir-e-sad-aqwam hai urdu kisi firqe ka leader ho wo leader ban nahin sakta na samjhe jab talak janta mein kitni aam hai urdu safarat ho cinema ho ki tw radio sab mein suron ka nashsha hai fikr-o-nazar ka jam hai urdu isi ko bolne mein ruh ko ab hai sukun hasil zamane ki zabanon ke liye paigham hai urdu musalsal irtaqa-e-adamiyat is se mazhar hai ba-qaid-e-nutq-e-'majid' rahbar-e-aqwam hai urdu