musibat ki khabren suno sham walo musibat ki khabren gareban daman talak chaak kar do saron par sawaron ki rondi hui khak dalo abu-qais ko maut ne kha liya hai amir-e-damishq in dinon sogwari mein hain ghamon ke andheron mein jakde hue huzn ki aag se un ka dil jal gaya aah bu-qais ki maut ke bar se jhuk gae hain khalifa ke shane abu-qais kya tha tumhein kya khabar sham walo abu-qais bade shahsawaron mein tha wo khalifa ka raaz-ashna, bandagan-e-khuda mein muqarrab yazid-ibn-e-maisun ki shab ka sathi abu-qais hinda ke pote ka tanha sahaara wahi surkh bandar jo maisun apne qabile se lai bahut shauq se nam us ka abu-qais rakha phir apni amanat arab aur ajam ke khalifa ko saunpi usi sahib-e-takht-o-taj-o-tarab ko jise aaj islam ki pasbani ka pura sharaf hai usi ka aur abu-qais bandar khuda us ko bakhshe use ghud-sawari mein aisi mahaarat thi jis ka bayan karna qudrat se bahar kisi shkhs-e-bad-bakht ne us ke ghode ko bidka diya us ke panw rikabon se nikle abu-qais niche gira aur milon talak thokaron par raha aah kis be-kasi mein adam ko sidhaara musibat, musibat suno ahl-e-islam abu-qais ki maut aisa bada saneha hai ki jis ki musibat se aal-umayya ke qasron mein rakh aur dhuan bhar gaya hai dua! dua ki zarurat abu-qais ki maghfirat ke liye aur yazid-ibn-e-hinda ke sabr o jaza ke liye