culture

bhigti palkon ke sau kamron mein latki
aansuon se tar taswir

ghas mein apne khal-o-khat ki kalak munh pe lipe
panch dariyaon mein zer-e-kasht

raat ke tanha shajar pe fakhta
ya panch harf

jo hawa ki takhtiyon par an-ginat chehron mein dhalte
chawalon ke bij hain

baalisht bhar ya us se unchi fasl mausam ki tarah phaili hui
us se pare

shahar maile rang mein gundha hua canwas
qadd-e-amdam panw ke mauzun mein basti bastiyan

jin ki zabanon narkhuron aanton pe kai ki silai
hath mein mitti ke phul

abr ki chhatri ke niche
bhuk ki badon mein latki

dhajjiyan
andam ki

badan taza paniri ki tarah ujle
kahin hutar ki ranon mein masalte

tauliye se jism
aur shahtut se bachpan

koi to baddua kalima bane
dil hajla-jaan mein sitam ki chaar gaz dori se lipta

charkh-chun phirta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close