baadal

bas-ki duniya pe musibat ki ghata chhai thi
ahl-e-alam ki gharaz jaan pe ban aai thi

dil mein baadal ke khuda jaane ki kya aai thi
bund pani ki na kambakht ne barsai thi

yun to baadal kai ghir ghir ke chale aate the
wade karte the magar wadon se phir jate the

bas-ki majbur the wo aadat-e-khud-gharzi se
taur un ke jo barasne ke the sab farzi the

shor ko apne jo wo sarf-e-hawa karte the
bahr-e-aflak mein tufan bapa karte the

main ne ye kah hi diya aap ke sab hile hain
garjne wale mere dosto kab barse hain

baadal allah ne banae the baras jaane ko
kisi dahqan ki qismat pe taras khane ko

dil unhen main ne barasne se churaate dekha
ek aansu na nigahon se bahate dekha

bhul jate hain jo sach puchho to zar wale bhi
ki makanon ke hua karte hain parnale bhi

dekhte dekhte baadal sabhi barbaad hue
hausle wale wahin aan ke aabaad hue

ashk dahqan ki musibat pe bahane aae
munh mein kheti ke wahin pani churane aae

saghar-e-dil mein mai-e-dard bhari rakhte the
aur rahmat ki lagae wo jhadi rakhte the

phir to viranon ko gulzar bana kar chhoda
beda duniya ka gharaz par kara kar chhoda

abr-e-baran ne jo yun apni dikhai himmat
shamil-e-haal hui hai ke khuda ki rahmat

apni rahmat mein khuda ne unhen aabaad kiya
apne sine se laga kar unhen dil-shad kiya

zinda rahte hain 'puri' mard sakhawat wale
yaad rah jate hain duniya mein murawwat wale


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close