zamane ne supurd-e-khak tere kar diye sathi na un ki pattiyan baqi na un mein rang-o-bu baqi kabhi ke teri mahfil se mohabbat ke ratan nikle sitam hai is gulistan se tere sab ham-watan nikle judai se azizon ki hai be-raunaq jahan tera mohabbat ke fasanon se hai ab khali makan tera na koi ham-nawa tera takallum ho to kis se ho na koi chahne wala tabassum ho to kis se ho na tere dard mein koi tere nazdik aata hai na teri be-kasi par ab koi aansu bahata hai tere is bagh ke takhton pe hasrat si barasti hai pari-khana jo tha ek din wo ab ujdi si basti hai bata ai phul is jine mein phir tujh ko maza kya hai jo sach puchho to is jine se mar jaana hi achchha hai juda kar ke tujhe dali se ab niche giraata hun haqiqat ye hai main tujh ko azizon se milata hun